Yaadein

, Popular Blogs

Woh Chattari compound mein chuttiyan, woh Bahadur Bhai ki chutkiyan,Woh Kamini Bua ki garam rotiyan,Yaad aati hain,Bahut yaad aati hainWoh Dada ki sadaqat,Woh Dadi ki ibaadat, woh unki mohabbat ,yaad aati hai, bahut yaad …

Woh Abbas Manzil ka aangan,woh guzare hue wahan Saawan, yaad aate hain, bahut …

Woh Amma ke aanchal ki garmi,woh Baba ke dil mein betiyon ke liye narmi, yaad aati hai, bahut yaad aati hai.
Woh Chattari compound the bawarchikhana,woh peedhiyon par sabka baithna, woh buraade ka choolha aur uspar KaminibUa ka hawa phookna,Yaad aata hai, Bahut yaad aata hai.

Woh Dadi ka hamare liye karela keema banana, woh Dada ke phulke ekdum perfect banna ,yaad aata hai,bahut yaad aata hai.

Woh Baby aur Munno ki nonstop baatein, woh aangan mein guzri raatein,woh amrud ke ped ke pattein,yaad aata hai, bahut..
Woh Women’s college mein mastiyan,woh bani jo wahan dostiyan, yaad aati hai, bahut..

Woh din bhar college main padhayiyan,Woh Railway road par matar gashtiyan,yaad aati…

Woh raaton ko jaag kar doston se baat karna, woh chup chup kar Tasweer Mahal mein picture dekhna,yaad aati hain, bahut..

Woh Aziza apa ki daatein, woh Amna apa ki baatein, yaad aati ..
Random scribbling from 2010

Leave a Reply

*