Phir ek saal ki taariik* raah tai karke
Mata-e-nur^ lutaati yeh raat aayi hai
Ufaq se ta-ba-ufaq° raushni ki arzaani☆
Yeh raat kitne ujaalo’n ko saath laayi hai
*andhera
^raushni ki daulat
°horizon to horizon
☆multifarious
Phir ek saal ki taariik raah tai karke
Mata-e-nur lutaati yeh raat aayi hai
Magar yeh soch raha hun jav aayegi tau humein
Ghira huwa phir inn zulmaat mein paayegi
Yeh zulmatein jo musalsal hain hum pe sadiyon se
Yeh ek raat mein tau duur ho nahin sakti
Siyahposh fizaayein yeh deed a o dil ki
Nishaat o nur se maamur ho nahin sakti
Magar yeh raat jo mehmaan hai chand lamho’n ji
Iss ek raat ko hum kyyn na jawedaa’n* kar lein
Yeh raat laayi hai saath apne jin ujaalo’n ko
Naa kis liye inhe’n mehfooz e qalb o jaan kar lein
*eternal
Qadam qadam pe jo raushan hain yeh diye inse
Faqat nigaah hi kyu iktisaab e nur* karein
Jo kar sakein tau inhein kyun na hum ataa kar dein
Woh raushni jo takaddur dilo’n ka duur kare
*attainment of light
Phir ek saal ki taariik* raah tai karke
Mata-e-nur lutaati yeh raat aayi hai
Ufaq se ta-ba-ufaq raushni ki arzaani
Yeh raat kitne ujaalo’n ko saath laayi hai