Site icon Rana Safvi

Haaye Kambakht tu ne pii hi nahin : Aziz Mian

A favourite qawwali of mine
https://youtu.be/jAYaniVtYrY

Samajh samajhna samajh ke samjho
Samajh samajhna bhi ek samajh hai
Aur samajh samajh ke kyun na samjhe
Meri samajh mein woh nasamajh hai

Lutf e mai tujhse kya kahun naadaan
Haaye kambakht tu ne pee hi nahin
Arrey mai udane waali
Yeh maikash udane waale hain,
Ek do nahin, chaudah pilaane waale hain

Batlaaye deta hun tujhe maikhaano’n ka pata
Batahao, Kazmain Khorasan, Saamarra
Khurshid muda’a mera burj e sharaf mein hai,
Ek saqi Karbala mein mera, ek  Najaf main hai,
Haaye kambakht

Sarmad ne tau yeh elaan kiya
Hum sar ko kata kar peete hain
Tabrez ne di hans kar yeh sada
Hum khaal khinchakar peete hain

Musaa ne kaha kya peete ho
Hum hosh udakar peete hain
Peena ta unhi ka hi peena hai
Jo arsh pe jaakar peete hain

Sarkaar e jahan mehboob e khuda
Ke naaz o niyam ke paalon se
Mahshar mein jo hain Kausar ke dhani
Un Kaali kamaliyan waalon se
Peene ka tareeqa   Ai waiz
Jaa pooch Ali ke laalon se
Jo sabr o raza ke bande hain
Woh Khoon mein naha kar peete hain
Farmaaya laee’ino’n se Shah ne
Kya humko kami thi paani ki
Dikhlaayi musalle ke neeche
Ek nehar thi jaari paani ki
Ghabraaye sitamgar tab saare
Jab dekhi rawaani paani ki
Shabbir  ne tab hans kar farmaaya
Yeh baat tujhe dikhlaani thi
Dosakh se hum apne Nana ki ummat ko chuda kar peete hain

Barsaat bint-e-raavi-o-jamna-o-neelganjj…
Bean-o-sarod-o-barbat-o-aud-o-rubab-o-chang…
Tambora-o-rubana-o-taoof-o-jaltarang…
Sher-o-sharab, shahid-o-shehnaz, raqs-o-rung…
Barsat ki hawa-e-muattar ka’ waasta…
Mai’khana khool saqi-e-kausar ka wasta…

saaqi datti hoii hai kharabatioN ki saff’
pheala howa hai abr-e-guharbar har taraf
Botall ka kaag khool utha’ kaif barr-e-daf…
Laa’ baad-e-Madinah-o-paemana-e-Najaf

Tatheer ki rida hai falak pe tani huyi
Aur de daaman e Rasool mein chani huyi
Haaye kambakht tu ne pee hi nahin

Mere sher’on ke haqeeqat mein naa maa’ni samjha
Baada e haq ko tu angoor ka paani samjha
Tu nahin jaanta
Arbaab e tareeqat ke usool
Tere behooda sawaalaat  sarasar hain fizool
Tu nahin jaanta paimana kisse kahte hain
Tu nahin jaanta maikhaana kisse kahte hain

Aur istalahaat e tasawwuf ki nahin tujhko khabar
Khatr ki raah mein  milta jahan hai kaif e nazar

Oh chashmi? –  khoti khari lagti hai
Mae e  irfaani tujhe
lal pari lagti hai
Haaye kambakht tu ne pee hi nahin

Aur ahle daanish ne tere zehan ko kaisa samjha
Baada e sher ko jis dam tu ne tharra samjha
Mae e tauheed ki maine tau wazahat ki thi
Tu naa samjhe arrey nadaan yeh  qismat teri
Rumi o hafez o Khayyam ka dekha hai kalaam
Jaam o meena ke libaade mein tareeqat thi tamaam
Naaseha tujhko, Naseehat ke siwa nahin  kaam
Jaam mein garq naa kar tu tau mera naam hi nahi

Allah ki inaayat hai ke main saif zabaan hu
Aur naaseh main tere waaste koh e gara’an hun
Tanqeed mein taameer thi
Iss waaste main chup tha
Warna samajh le main Aziz mian hun

Exit mobile version