Site icon Rana Safvi

hazaaron Khvaahishen aisii

YouTube Poster
Mirza Ghalib

1, hazaaron Khvaahishen aisii ki har Khvaahish pe dam nikale
bahut nikale mere armaan lekin phir bhii kam nikale

KHvaahish ख़्वाहिश خواہش = wish, request, inclination, will
Dam = breath, life, vitality, moment
Armaan अरमान ارمان = Desire

(A thousand yearnings have I, each one to die for
Many a desire have I fulfilled yet many more remain)

koii is dil kaa haal kyaa jaane
ek KHvaahish hazaar tah-KHaane*
(*basements/ underground layers) #Shakeb Jalali

jaane tab kyo.n suuraj kii Khvaahish karate hain log
jab baarish mein sab diivaaren girane lagatii hain
#Salim Kauser

2. nikalnaa Khuld se Aadam kaa sunte aaye hain lekin
bahut be-aabaru hokar tere kuuche se ham nikale

KHuld ख़ुल्द خلد = paradise, heaven =
be-aabaru=disgrace, dishonourable
kuuchaa=street

(Am familiar with stories of Adam’s expulsion from Paradise yet,
Very dishonourable was my exit from your street)

ham Khuld se nikal to gaye hain par ai Khuda
itane se vaaqaye* kaa fasaanaa^ bahut huaa
#Faraz

*incident
^ story, tale, fiction

3. muhabbat mein nahiin hai farq jeene aur marne kaa
usii ko dekh kar jeete hain jis kaafir pe dam nikale

farq फ़र्क़ فرق = difference,
kafir = here beloved

(In love the difference between life and death is blurred
The sight of the same beloved gives me life, for whom I want to die)

Khudaa ke vaaste pardaa na kaabe se uThaa zaalim
Kahiin aisaa na ho yaa.N bhii vahii kaafir sanam nikale

Not by Mirza Ghalib – Few Couplets


“If these verses are in the text, then they’re mine; and if they’re in the margins, then they’re not mine.”

4. Kahaan maiKhaane ka daravaazaa ‘Ghalib’ aur kahaan vaaiz
par itnaa jaanate hain kal vo jaataa thaa ke ham nikale

maikhana मै-ख़ाने مے خانے = bar, tavern
vaaiz واعظِ वाइज़ =here preacher ,but also adviser, religious wise man, learned man

(The wine- house and the preacher are poles apart
Yet I do know that he went in, as I came out (yesterday)

Ghalib” buraa na maan jo vaaiz buraa kahe
aisaa bhii koii hai ke sab achchhaa kahe.n jise

yaad aa gayaa vo but^ mujhe huuron ke zikr se
vaa.iz ke vaaz* se bhii meraa kaam chal gayaa
#Ranjuur Aziimaabaadi

^beloved
*sermon

Exit mobile version