go zarā sī baat par barsoñ ke yaarāne gaye
lekin itnā to huā kuchh log pahchāne gaye
garmi-e-mahfil faqat ik nāra-e-mastāna hai
aur vo ḳhush haiñ ki is mahfil se dīvāne gaye
maiñ ise shohrat kahūñ yā apnī rusvā.ī kahūñ
mujh se pahle us galī meñ mere afsāne gaye
vahshateñ kuchh is tarah apnā muqaddar ban ga.iiñ
ham jahāñ pahuñche hamāre saath vīrāne gaye
yuuñ to vo merī rag-e-jāñ se bhī the nazdīk-tar
āñsuoñ kī dhund meñ lekin na pahchāne gaye
ab bhī un yādoñ kī ḳhushbū zehn meñ mahfūz hai
bār-hā ham jin se gulzāroñ ko mahkāne gaye
kyā qayāmat hai ki ‘ḳhātir’ kushta-e-shab the bhī ham
sub.h bhī aayī to mujrim ham hī gardāne gaye