Site icon Rana Safvi

Two nazms by People’s poet, Nazeer Akbarabadi on Diwali

Diwali ki Shubh Kaamnayein
Poem by Nazeer Akbarabadi( 18thc)  the People’s poet

har aik makaaN meiN jalaa phir diyaa diwaali ka
har aik taraf ko ujaala huwaa diwaali ka
sabhi ke dil meiN samaaN bha gayaa diwaali ka
kisi ke dil ko mazaaH kHush lagaa diwaali ka

ajab bahar ka hai din banaa diwaali ka

jahaaN meiN yaaroN, ajab tarah ka hai yeH tyohaar
kisi ne naqad liya aur koi karay hai udhar
khilaunay, khaliyoN, bataasoN ka garam hai bazaar
har aik dukaaN meiN charagHon ki ho rahi hai bahar

sabhoN ko fikr hai ja ba ja diwaali ka

miThaiyoN ki dukaneiN lagaa ke halwaai
pukartay haiN keH “lala ! Diwaali hai aai”
bataasay lay koi, barfi kisi nay tulwaai
khilaunay waloN ki unn say zyadaaH ban aai

goya inhoN ke waaN raaj aa gayaa diwaali ka

sirf haraam ki koRhi ka jin ka hai byopar
unhonay nay khaaya hai iss din ke wastay hi udhaar
kahay haiN haNs ke qarz-kHwah se har aik, aikbaar
“diwaali aai hai, sab de chalayeNgay ai yaar

kHuda ke fazal se hai aasra diwaali ka”

makan laip ke, TheliyaaN jo kori rakhwaai
jalaa chiraagH ko, koRhi woH jald jhankai
asal juaari thay, unn meiN to jaan si aai
kHushi se kood uchhal kar pukartay, “O bhai!

shagun pahlay karo tum zaraa diwaali ka”

kisi nay ghar ki hawali giro rakha haari
jo kuchh thi jins muyassar, bana bana haari
kisi nay cheez kisi ki chura chhupa, haari
kisi nay gaThari paRhosan ki apni laa hari

yeH haar jeet ka charcha paRha diwaali ka

jahaaN meiN yeH diwaali ki sair hoti hai
to zar se hoti hai, aur zar bagHair hoti hai
jo haaray, unn peH kHarabi ki fair hoti hai
aur unn meiN aan ke jin jin ki kHair hoti hai

to aaRhay aata hai unn ke diyaa diwaali ka

yeh baateiN sach hain, naH jhooT inn ko janiyoN yaaro
nasihateiN haiN, inhay dil meiN ThaaniyoN yaaro
jahaaN ko jaao, yeh qissa bakhaniyo yaaro
jo juaari ho, naH buraa uss ka maniyo yaaro

NAZEER aap bhi hai juaariya diwaali ka

This one sent by Sanjeev Singh

हमें अदाएं दिवाली की ज़ोर
भाती हैं I कि लाखों झमकें हर एक घर में जगमगाती हैं II
चिराग जलते हैं और लौयें
झिलमिलाती हैं I मकां मकां में बहारें ही झमझमाती हैं II
खिलौने नाचें हैं तस्वीरें
गत बजाती हैं I बताशे हँसते हैं और खीलें खिल खिलाती हैं II1
गुलाबी बर्फियों के मुहँ
चमकते फिरते हैं, जलेबियों के भी पहिये ढुलकते फिरते हैं II
हर एक दांत से पेड़े अटकते
फिरते हैं I इमरती उछले है लड्डू ढुलकते फिरते हैं II
खिलौने नाचें हैं तस्वीरें
गत बजाती हैं I बताशे हँसते हैं और खीलें खिल खिलाती हैं II 2
अटारी छज्जे दरो बाम पर
बहाली है I दीवार एक नहीं लीपने से खाली है II
जिधर को देखो उधर रोशनी उजाली है I गरज़
में क्या कहूं ईंट ईंट पर दिवाली है II
खिलौने नाचें हैं तस्वीरें गत बजाती हैं I बताशे
हँसते हैं और खीलें खिल खिलाती हैं II 3
बहुत ही खूबसूरत लिखा है जन
कवि नज़ीर अकबराबादी ने.  आज से २०० वर्ष
पहले दिवाली कैसे मनायी जाती थी इस कविता के माध्यम से समझा जा सकता है  . इस कविता में 16 अंतरे हैं हांलांकि यहाँ तीन
अंतरे ही दिए हैं …आप सब को दीपावली बहुत बहुत मुबारक

Exit mobile version