Site icon Rana Safvi

Lab pe pabandi nahi ehsas pe pahra to hai : Sahir Ludhianvi

Lab pe pabandi nahi ehsas pe pahra to hai,

Phir bhi ahal e dil ko ahwaal e bashar kahna to hai,

Apni ghairat bech dale’n apna maslaq chhor de’n,

Rahnumao’n may bhi kuch logo’n ko ye mansha to hai,

Hai jinhe’n sab se zyada dawa e hubb e watan,

Aaj un ki wajah se hubb e watan ruswa to hai,

Bujh rahe hai’n ek ek kar ke aqido’n ke diye,

Is andhere ka bhi lekin saamna karana to hai,

Jhuth kyu’n bole’n farogh e maslahat ke naam par,

Zindagi pyari sahi lekin hamay marna to hai.

Exit mobile version