Site icon Rana Safvi

Jeetenge Hum

agarche hum yun haar ke baithe hain tau kya

kal phir uthenge, phir ladenge, phir jeetenge

haar tau waqti hai, jeet is se kabhi naa haari hai

jeetenge hum, ai haar tu yeh yaad rakhna

himmat sher ke munh men haath daalne ko nahin kahte

ek lafz ko baar baar dohrakar sahi karna badi baat hai

tau kya agar aaj hum zara se fisle hain

kal wapas usse oonchi bulandi par pahunchege

dar mat. Agar fisla tau kya. apni jagah se tau hata

khada rahna ek jagah pe haar ki alaamat hai

taqdeer men sabke jeet hi likhi hai uparwaale ne

haan yeh aur baat hai sab usse haasil karne ko koshish nahin karte

haar se darna kya, jeet hamaari hai

himmat hamari hai, mehnat hamaari hai

haar sirf haar tumhari hai

(these lines inspired by my nieces who are fighting to overcome autism and the determination and courage of their parents in 2012 )

Exit mobile version