( some thoughts on today’s situation
originally written in 21/12/2012 )
Cheez nahin , maal nahin , naa main kisi ki milkiyat
Main bhi tumhari tarah nasl e Aadam hun, jootii nahin paanv ki
~ Ladki hun main
Dua hun, pyaar hun, duniyaa hun main maa baap ki
ek goongi gudiya nahin, becho naa sare bazaar mujhe
~Ladki hun main
Ladkiyon se sajti hai duniya maa baap ki
khilona nahin hun main,
kisi ki maa, kisi ki beti, kisi ki biwi hun , yun uchaalo na mujhe
~Ladki hun main
Jab jab siyasat ka mudda bani hun main, jeeti hai rajneeti , haari hai jamhooriyat ~ladki hun main
jab jab nuchchi hun main, kuchli gayi hai insaaniyat
jab jab jali hun main raushan huyi haiwaaniyat.
~ Ladki hun main
Jab jab uchchli meri izzat, doobi hai insaaniyat// jazbaat ka sailaab ubhra hai, huyi Aadam ko bhi nidaamat
~ Ladki hun main
22nd Dec
Teri khamoshi meri awaaz ko aur zor deti hai // sannata men goonjta hai shor teri laparwaahi ka ~ ladki hun main.
Beti hun Is mulk ki , paraayi nahin hun main // meri himmat ko uthaa hai awaam saara, tuu bhi uth ~ Ladki hun main
Main sirf ek jism nahin hun, ussne toda phoda, tumne ilaaj karaya / gale se lagaao dard mera, awaaz bano meri,insaaf dilaao~ ladki hun main
23rd Dec
Aaj mehsoos huyi lachaargi~ meri awaaz le udde siyasi roti sekne waale~Meri awaaz apne agenda main mat dubaao~ Mehsoos karo ~ladki hun main
24th Dec
Lafz saste hai,media ke bazaar men bikte hai,meri tarah/agar yehi hai hifazat tau haafiz koi aur chaahiye,mazboot meri tarah~ladki hun main
29th Dec
Toot gayi meri himmat,choot gayi meri saans
Tum magar saath raho,pakde mera haath
phir na ho koi meri tarah aise khamosh
~ladki hun main
Aaj waada karo,sirf ek shama bankar nahi rah jaaongi main
Waada karo har beti ki izzat karoge,chedoge na kisi ko kabhi,
~Ladki hun main
Aaj Ek sukoon ek chain dil ka chin gaya~
Aaj Ek ahsaas mar gaya, dil bhi saham gaya~
Rah gaya dard, ek massom chala gaya~
Ladki hun main