Site icon Rana Safvi

Yaadgar e Zauq – poet’s grave in Delhi

Written on the walls of Yaadgar e Zauq – Khaqan e Hind/ poet laureate

(Yaadgar because original tomb demolished to make way for a public lavatory. This was made because of the efforts of Mr Firoz Bakht who fought long and hard for it)

Laayi Hayat aaye qaza le chali chale

na apni khushi aaye na apni khushi chale

behatar to hai yahi ke na duniya se dil lage

par kya karen jo kam na bedillagi chale

ho umr-e-khizr bhi to kahenge bavaqt-e-marg

hum kya rahe yahan abhi aaye abhi chale

duniya ne kis ka rah-e-fana mein diya hai sath

tum bhi chale chalo yun hi jab tak chali chale

nazan na ho khirad pe jo hona hai wo hi ho

danish teri na kuch meri danishvari chale

kam honge is bisat pe hum jaise badqimar

jo chal hum chale wo nihayat buri chale

ja ki hava-e-shauq mein hain is chaman se ‘zauq’

apni bala se bad-e-saba kaheen chale

Exit mobile version