On his exile to Rangoon Bahadur Shah Zafar said :
ham to chalte hain lo Khuda haafiz
but_kadaa kaa buto’n Khuda haafiz
kar chuke tum nasiihate’n ham ko
jaao bas naaseho Khuda haafiz
aaj kuchh aur tarah par un kii
sunate hain guftaguu Khuda haafiz
bar yahii hai hameshaa zaKhm pe zaKhm
dil kaa chaaraaGaro.n Khuda haafiz
aaj hai kuchh ziyaada betaabii
dil-e-betaab ko Khuda haafiz
kyon hifaazat ham aur kii Dhoondhe’n
har nafas jab ki hai Khuda haafiz
chaahe ruKhsat ho raah-e-ishq mein aql
ai “Zafar” jaane do Khuda haafiz