#Akbar alAllahabadi birth anniversary
We used to love it when Amma used to recite this
Kaha Majnu se ye Laila ki Maa ne,
Ki Beta tu agar kar le B.A pass,
To fauran byaah doon Laila ko tujh se,
Bila diqqat main ban jaaun teri saas
(bila diqqat- without any issues)
Kaha Majnu ne: Yeh achchi sunaai!!
Kuja aashiq, kuja college ki bakwaas?
(kuja-where/kahaan)
Kuja ye fitrati josh-e-tabiyat
Kuja thaunsi hui cheezon ka ehsaas!
(Love is by nature spontaneous and unrestrained!)
Where do you bring in this forced learning by rote?)
Bari bee, aapko kya ho gaya hai?
Hiran pe laadi jaati hai kahin ghaas?
Ye achchi qadardaani aapne ki
Mujhe samjha hai koi Harcharan Dass?!
Dil apna khoon karne ko hoon maujood
Nahin manzoor maghaz-e-sar ka aamas
( The i am ready to shed my heart’s blood!)
This taxing of the brain is sadly too much to ask!)
Yeh thahri jo shart-e-wasal-e-Laila
To istifaa mera ba hasrat-o-yaas!
( (If this be the condition for union with my beloved)
Here’s my resignation-regretfully and with a sense of loss!)