This one tells us of Akbar Allahabadi’s pain when his son lost touch with his own culture and became very Anglicised
Ishrati ghar ki mohabbat ka maza bhool gaye
kha ke London ki hawa, ehde wafa bhool gaye
pohnchay hotel meiN to phir Eid ki parwah na rahi
cake ko chukh ke siwayyoN ka maza bhool gaye
bhoolay maaN baap ko aghyaar ke charchoN meiN wahaN
saaya-e kufr paRha noor-e-Khuda bhool gaye
moam ki puTliyoN per ayesi tabiyat pighli (moam=wax)
chaman-e-Hind ki paryoN ki ada bhool gaye
kesay kesay dil-e-nazuk ko dukhaya tum ne
khabar faislaye roz-e jaza bjool gaye
“Bukhl” hai ahl e watan se jo wafa me tumko
Jab ke booRhey “ravish” e deen e khuda bhool gaye.
naql magrib ki taraNg aayee tumhare dil maiN
aur yeh nukta ke meri asl hai kiya, bhool gaye
kiya ta’jub ke jo laRhkoN ne bhulaya ghar ko
jub ke booRhay rosh, deen-e-Khuda bhool gaye
(old)