addressed to his son, Ishrat, who went away to study in London)
London ko ChoRh laRke, ab Hind ki khabar le
hoti raheN gi bateN, abaad ghar tu kar le
rah apni tu badal de, bus paas ker ke chal de
apne watan ka rukh ker, aur rukhsat-e safar le
English ki ker ke “capy”, duniya ke rah naapi
deeni tareeq meiN bhi, apne qadam ko dhar le
Nature pukarta hai, hai asl nasl teri
kehti hai History bhi, bus ja aur apna ghar le
waapis nahiN jo aata, kiya muntazir he is ka
maaN khasta haal ho le, bechara baap mer le
Magrib ke murshidoN se, tu paRh chuka bohat kuch
peeran-e-mashriqi se, ab faez ki nazar le
meiN bhi hooN ek sukhanwar, aa soun kalam-e-Akbar
in motiyoN se aaker, daman ko apne bhar le
======================================================