#Ashfaqullah Khan executed on 19th December 1927 was a famous freedom fighter
Just before he was hanged at the Faizabad jail, he was asked
about his last wish. In reply, he recited the following
Kuchh aarzoo naheeN hai, hai aarzoo to yeh hai
Rakh de koi zara si KHaak-e-watan kafan men
bahaar aaii hai, shorish hai, junoon-e-fitnaa saamaaN kii
ilaahii Khair rakhnaa too mire jaib-o-GhariibaaN kii
bhalaa jazbaat-e-ulfat bhii kahiiN miTne se miTte haiN
abas haiN dhamkiaaN daar-o-rasan kii aur zindaaN kii
vo gulshan jo kabhii aazaad thaa guzare zamaane meN
maiN hooN shaaKh-e-shikasta yaaN usii ujaRhe gulistaaN kii
nahiiN tum se shikaayat ham_safeeraan-e-chaman mujh ko
mirii taqdeer hii meN thaa qafas aur qaid zindaaN kii #Ashfaqullah #shair
zamiiN dushman, zamaaN dushman, jo apne the paraae haiN
sunoge daastaaN kyaa tum, mire haal-e-pareeshaaN kii
ye jhagRhe aur bakheRhe meT kar aapas meN mil jaao
abas tafreeq hai tum meN yeh hindoo aur musalmaaN kii
sabhii saamaan-e-ishrat the, maze se apnii kaTtii thii
watan ke ishq ne ham ko havaa khilvaaii zindaaN kii
ba_hamd illaah chamak uTThaa sitaaraa merii qismat kaa
ki taqleed-e-haqeeqee kii ataa shaah-e-shaheedaaN kii
idhar Khauf-e-KhizaaN hai aashiyaaN ka Gham udhar dil ko
hameN yaksaaN hai tafreeh-e-chaman aur qaid zindaaN kii #Ashfaqullah #shair