Ajmal Siddiqui tahe dil se shukriya
I didn’t know that one could have chronogram for birthdays. This is so beautiful
Shab e siyaah me kirneiN si kuchh ubharti haiN
Misaal e jaam, har ik qalb me utarti haiN
MasarratoN ka na asghar ki haal poochhiye ab
Tamaam mushkileiN bas dekh aah bharti haiN
Ye kaun ban ke duaoN ka aa gaya hai jawaab
Ye kaun hai jisey azraa jigar me bharti haiN
Ye kaun aaya hai, kyuN khul gaye haiN baab e wajd
Dayaar e safvi me ra’naaiyaaN bikharti haiN
یہ کون آیا ہے کیوں کھل گئے ہیں بابِ وجد
دیارِ صفوی میں رعنائیاں بکھرتی ہیں
With Zaidi :
Ye kaun aa gaya, sach, khulne ko haiN baab e falak
Dayaar e Zaidi me ra’naaiyaN bikharti haiN (1957)
یہ کون آ گیا، سچ، کھلنے کو ہیں بابِ فلک
دیارِ زیدی میں رعنائیاں بکھرتی ہیں
۱۹۵۷