Falak zameen o mulaik janab thi Dilli
Bahist o khuld men bhi intikhab thi Dilli
jawab kaahe ko tha,lajawaab thi Dilli
Magar khyal se dekha tau khwab thi Dilli
Pari hain ankhen wahan jo jagah thi nargis ki
Khabar nahin ki ise kha gayi nazar kiski
Falak ne qahr o gazab taak taak ke daala
Tamaam parda e namoos chaak kar daala
Yakayak ik jahan ko halaak kar daala
Gharz ke lakh ka ghar khakh kar daala
Jalen hain dhoop men shaklen jo mehtab ki thi
Khinchein hain kaanton pe jo pattian gulab ki thin
Lahu ke chashme hain chashm e pur aab ki surat
Shikasta kaasa e sar hain habaab ki surat
Lute hain ghar, dil e khana kharab ki surat
Kahan yeh hashr men tauba! itaab ki surat