Sair e Gul Farosha’n
Traditional Songs
RasoolAllah kyun kharosha’n hai
Aaj kya Sair e Gul Farosha’n hai?
Baheliyon yakko’n ka ek taata hai
Jis ko dekho woh Qutub jaata hai
Bhai Jaggu hai sar par dukan
Jaake Mehrauli mein bechega paan
Miyan Gafoor bhi iss mele par
Laaye hain saara kuna thele par
Har ek dukan par bhara hai maal
Mithaiyon ke chun rahe hain thaal
Nashpati anaar aur amrud
Kahin kadhai mein chadha hai doodh
Bechta hai koi budhiya ke baal
Sev besan ke aur chane ki dal
Kaba e sskh bhun rahe hain kahin
Log qawwali sun rahe hain kahin
Naach gaana har ek makan mein hain
Itr ki phooiyyein har ek kaan mein hain
Vaam par hain Nawab moote se
Nai pakad li unhone kothe se
Aaye bazar mein Girdhari Lal
Tond itni hai ke dushvaar sambhal
Raees hain yeh haal hain palle
Kharidte hain yeh angoothi challe
Hansi mazaq ka ajab hai taur
Chal raha hai sharab e nab ka daur
Botal ek aur aane waali hai
Nawab Putli gane waali hai