Diwali
By Aale Ahmed ‘Suroor’
Yeh baam o dar, yeh charaagh, yeh qumqumo’n ki qataar
Sipaahe nur siyaahi se barsar e paikar
Yeh zard chehre pe surkhi, fasurda nazro’n mein rang
Bujhe bujhe se dilo’n ko ujlaati hai umang
Yeh leher leher, yeh raunaq, yeh humhuma, yeh hayaat
Jagaaye jaise chaman ko naseem e subh ki baat
Har ek shamma pe dil de rahe hain parwaane
Nazar nazar se baraste hain kitne afsaane
Gazab hai laila e shab ka singhaar aaj ki raat
Nikhar rahi hai uroos e bahaar aaj ki raat
Hazaar jung ke saaye, hazaar qahat ke bhoot
Hazaar sharr ke dalail , hazaar gham ke suboot
Hazaar zakhmo’n ki teese’n, hazaar daagho’n ke dard
Hazaar khushk labo’n par, hazaar naala e sard
Hazaar khwaab o haqeeqat ki kashmakash ka aalam
Hazaar khoon e tamanna ki mehfilo’n ka maatam
Hazaaron saal ke dukh dard mein nahaaye huye
Hazaaron aarzuo’n ki chita jalaaye huye
Khiza’n naseeb bahaaron ke naaz uthaaye huye
Shikast o fatah ke kitne fareb khaaye huye
Inn aandhiyo’n mein bashar muskura tau sakte hain
Siyaah raat mein shamma jala tau sakte hain
The nazm was composed on 30th Oct 1951 at Lucknow when Suroor sb was reader Lucknow University.. It was also published in his collection ” Zauq e Junoon ” in 1955.