KyoN na veeraan ho dayaar-e-suKHan
Mar gaya aaj taaj~daar-e-suKHan
Bulbul-e-KHush~taraana-e-m’ani
Gul-e-raNgeen-o-shaaKHsaar-e-suKHan
NaKH’l~baNd-e-hadeeqa-e-mazmooN
Taaz’gee~baKH’sh laala~zaar-e-suKhan
‘Arsa-e-nazm kyoN na ho veeraaN
Hai ‘inaaN~kash woh shah~sawaar-e-suKHan
KyoN na har’foN ka ho libaas siyaah
Hai GHam-e-marg-e-shahryaar-e-suKhan
Saath un ke gayee suKHan~saNjee
Un ka marqad hi hai mazaar-e-suKHan
Aab’yaari thi jis se woh na raha
Ab KHizaaN ho gayee bahaar-e-suKHan
NaGHma~pairaaiyaaN kahaaN waisi
Ab yeh hai naala~haaye~zaar-e-suKHan
Rashk-e-‘Urfi-o-faKHr-e-Taalib murd
Asadullah Khan Ghalib murd
Sheh’d goya bhara dahaan men tha
Kya maza aap ke bayaan men tha
Was’f is ja bayaaN se baahar hai
Lutf jo tab’e~nukta~daan men tha
HiNd men reh ke rashk-e-EeraaN ho
Was’f hazrat ki jo zabaan men tha
Hum to KHidmat men aap ki KHush the
CharKH par fikr imtehaan men tha
Sar pe saaya yuN’hi rahega sada
Dil-e-nadaaN isi dhyaan men tha
Qadr~aNdaaz charKH ne chhoRa
JaaN’sitaaN teer jo kamaan men tha
Wuhi gul~cheen-e-marg ne toRa
Phool yak’ta jo gul’sitaan men tha
Un ki roz-e-wafaat Dehli men
Yehi mazkoor dostaan men tha
Rashk-e-‘Urfi-o0-faKHr-e-Taalib murd
Asadullah Khan Ghalib murd
The Nizaami se naz’m men humsar
Fauq tha naz’r men Zahoori par
Us ka saani koi na us ka nazeer
Ek se ek hai GHaraz bihtar
Kaun taskeeN~fizaaye KHaatir ho
SaKHt bechain hai dil-e-muz’tar
Yaar karte haiN sab’r ki talqeen
Zulm hai jaan-e-naa~shikeba par
Aap ke paaNv to na chalte the
Tai yeh raah-e-daraaz ki kyoNkar
Aatish-e-GHam ki hai bhaRak waisi
Kaam aaye na apne deeda-e-tar
Ab to deedaar ko dikha deeje
Mere naaloN se hai bapa meh’shar
Kaun sunta hai ab kisi ki baat
Aaj kal to yeh shor hai ghar ghar
Rashk-e-‘Urfi-o-faKHr-e-Taalib murd
Asadullah Khan Ghalib murd
Ahl-e-Dehli ki thi buri taqdeer
Jo uTha yaaN se aisa baa~tauqeer
Aise phir saahib-e-kamaal kahaaN
Hai yeh fazl-o-hunar ka daur-e-aKHeer
Naz’m-e-Urdu se Tapki paRti hai
Wo jo hai tarz-e-KHaas-e-Hazrat-e-Meer
Aur Deewaan-e-Faarsi un ka
Falak-e-naz’m ka hai maah-e-muneer
Ghazal-e-Faarsi men hai jo sher
Hai Nazeeri ki fikr ka woh nazeer
Un ki doori men dekh le mujh ko
Jis ne dekhi na GHam ki ho tasveer
Iztiraab-e-mudaam bad hai magar
Dil pe qaaboo na ho to kya tadbeer
BaaGH-e-fazl-o-hunar ko KHaali dekh
Naala~zan yooN hai bulbul-e-dil’geer
Rashk-e-‘Urfi-o-faKHr-e-Taalib murd
Asadullah Khan Ghalib murd
Un ki shaf’qat jo yaad aati hai
Chashm daryaa-e-KHooN bahaati hai
Kal na thi jis jagah ke be jaaye
Wohi ja ab to kaaTe khaati hai
YooN to san’saan hai makaaN saara
Aah par shor-o-GHul machaati hai
Be~qaraari ka zor mat poochho
Sab’r ki dhajjiyaaN uRaati hai
Kaun aata hai behr-e-pursish-e-haal
HaaN GHashi GHam se aati jaati hai
Un ki doori men hai yeh bad~mazgi
Ke naheeN zeest apni bhaati hai
Yeh unheeN ka mazaar hai shaayad
YaaN se kuchh boo-e-ulfat aati hai
Kaan dhar kar jidhar se sunte haiN
Yeh nida aa ke GHam baRHaati hai
Rashk-e-‘Urfi-o-faKHr-e-Taalib murd
Asadullah Khan Ghalib murd
Ek jaaN aur laakh kaavish-e-GHam
Ek dil aur hazaar raNj-o-alam
Haan dar baRa ho chashm-e-toofaaN~rez
AaNsoo aane lage haiN kyoN tham’tham
Hai har ek shehr aur qariye men
Is ‘adeem-un-nazeer ka maatam
Roo-e-shaadi kabhi na dekheNge
Apne hirmaan-e-jaavidaaN ki qasam
Jis [e guzre wuhi yeh jaan’ta hai
GHam-e-hijraaN hai kis GHazab ka sitam
KaheeN is dard ka naheeN darmaaN
KaheeN is zaKH’m ka naheeN mar’ham
Bad hai doori agar’che ho dam bhar
Zehr hai zehr besh ho ya kam
Mujh se pursaaN hai is museebat ka
Tujh ko m’aaloom kya naheeN humdum
Rashk-e-‘Urfi-o-faKHr-e-Taalib murd
Asadullah Khan Ghalib murd
Jab’ke aaNkhoN se woh nihaaN ho jaaye
KyoN na dam seene men sinaaN ho jaaye
ChauNk uTheN KHwaab-e-marg se Hazrat
Is qadar shor ai fuGHaaN ho jaaye
Bulbul-e-baaGH-e-faz’l hai KHaamosh
Chup na kyoN murGH-e-subh~KHwaaN ho jaaye
Mehr-e-m’aani hai KHaak men pinhaaN
KyoN na taareek sab jahaaN ho jaaye
Josh men KHoon-e-dil hai haaN ai GHam
Rezish-e-chashm KHooN~fishaaN ho jaaye
Lab pe rehti hai aah-e-charKH~shikan
KaheeN TukRe na aasmaaN ho jaaye
Naala ho ya ke aah ya girya
Aaj in sab ka imtehaaN ho jaaye
YooN to chup baiThna naheeN achchha
Dil-e-pur~dard kuchh bayaaN ho jaaye
Rashk-e-‘Urfi-o-faKHr-e-Taalib murd
Asadullah Khan Ghalib murd
Kaun deta hai yaaN kisi ki daad
Tum kiye jaao naala-o-faryaad
Kya shareefoN ki qadr ho us ko
AasmaaN jab ke KHud ho sifla~nihaad
Us ko hai apni kaj~ravi se kaam
Koi barbaad ho ke ho ho aabaad
Koi ustaad-e-fan mare to mare
Hai yeh jaur-o-sitam men KHud ustaad
Inteqaal-e-Janaab-e-Ghalib ne
Kar diya KHaana-e-adab barbaad
Haaye jaNgal men us ki qabr bani
KaaKH-e-m’ani ki jo ke tha bun’yaad
Us ko KHizr-e-rah-e-suKHan samjho
Hai jo un ki zabaan ka irshaad
Poochha yeh saaniha jo yaaroN ne
Bola Majrooh baa~dil-e-naashaad
Rashk-e-‘Urfi-o-faKHr-e-Taalib murd
Asadullaha Khan Ghalib murd
Thi jo un ke mizaaj men tehzeeb
Woh jahaaN men naheeN kisi ko naseeb
Un se dekha kabhi na f’el-e-‘abas
Is se aagaah haiN ba’eed-o-qareeb
Sulh-e-kul ka rakha tha woh bartaao
The woh dushman ki bhi nazar men habeeb
Thi na ik baat lutf se KHaali
Yeh bhi ik baat thi ‘ajeeb-o-GHareeb
Guftugoo men ‘ajab fasaahat thi
Hote the mehv jis ko sun ke adeeb
Tha har ik baat ka naya aNdaaz
Har suKHan ki thi ik nayee tarkeeb
KHush hi jaata tha waaN se har GHamgeen
The magar aap KHush~dili ke tabeeb
Un ka taaboot dekh, baa~hasrat
Yehi kehta tha har ameer-o-GHareeb
Rashk-e-‘Urfi-o-faKHr-e-Taalib murd
Asadullah Khan Ghalib murd
In sa paida kahaaN ho, gar sau baar
Khaaye chakkar yeh charKH-e-kaj~raftaar
Thi yeh mazmoon ki durar~rezi
Silk-e-gauhar thi kilk-e-jaadoo~kaar
Un ki raNgeeni-e-‘ibaarat se
Saf’ha kaaGHaz ka hai bih~az~gulzaar
Is kalaam-e-baleeGH ko dekho
Lafz-aNdak men m’ani-e-bisyaar
Hilm tab’e saleem men woh tha
ChiooNTi tak ko na jis se tha aazaar
GHus’l dete haiN aao mushtaaqo
Dekho Hazrat ka aaKHiri deedaar
Gird taaboot tha hujoom-e-kaseer
Ahl-e-maatam men thi yehi guftaar
Jo ke jaate hum~rah-e-taaboot
Yehi kehte the woh pukaar pukaar
Rashk-e-‘Urfi-o-faKHr-e-Taalib murd
Asadullah Khan Ghalib murd