I had done this in 2013 for @ Urdu alfaz twitter handle. Posting it here
youtube.com/watch?v=SPRdjRwh6XE …
reference : dialogues taken from this montage
Mughle Azam = The Great Mughal ( a name given to Akbar)
Jumbish* makun^ = Do not Move ( motion/ movement| ^do not) Everytime Akbar appeared on the scene as per protocol it was announced
Jumbizh makun, hoshiyaar, Zille Ilaahi * tashreef laa rahe hain ( Zille Ilaahi =shadow of God on earth)
Jo aapke ghar aate hain woh Tashreef laate hai | agar aap kisi ke ghar jaayein tau aap haazir hote hai. Tashreef literally means honouring
As children there was a joke ” What kind of great king is this, kept asking for a takia ( pillow )& nobody brought it ” Word was #Takhliya
# Takhliya means privacy, solitude and is used for monarchs / princes when they want solitude
“agar Zille ilahi ne yahan dekh liye tau Anarkali ki qabr aapki aagosh* mein ban jaayegi “
*embrace, lap
“Mohabbat jo dar jaati ho woh mohabbat nahi aiyyashi* hai , gunaah hai”
*literally means lust , lechery
“Adab se baat karo” = talk politely, courteously / keep within the boundaries of etiquette & protocol ( in the movie)
beraham = cruel, merciless
“Humein iss Parwaan^ e azaadi* pe mohar** chaahiye”
Hum not main was the royal pronoun
^moth, lover, warrant, permission
*freedom
**seal
“Hamaari bakshi huyi yeh aziimushshaan* saza tumhe bhugatni hogi”
*great, magnificient
“hamaare faislon par tujhe koi ikhtiyaar* nahin hai”
*Power/ authority
“yeh raat Akbar e Azam ke Mansoobon* pe bhaari guzregi”
*plans
Another misused word is ” tashreef”. I have heard someone say, ” main kal aapke ghar tashreef laaonga” . It shd have been haazir honga
“saahib e alam* tashreef laa rahe hain”
*master of the world used for princes
sahab =master, gentleman,
alam= world
“Aakhir e kaar* akbar e azam ki garm nigaahon se who mom^ pighal gaya jis tu bani huyi thi”
*At last
^ wax
“woh Kaagazi zevar* jal ke khaak ho gaya jisko pehan kart u itraati phirti thi”
reference to impermanence of emotions/ disloyalty
Daghabaaz kaneez = deceitful maid
buzdil laundi = cowardly slave
Sharm-naak = shameful, disgraceful
Sharm-saar = ashamed, repentant
“Akbar ki buzdil laundi Ek jhooti kasam thi jo mera imaan badal gayi” “Sharmnaak badnaami ka daagh thi jo mere daman pe laga aur dhul gaya”
“Zille ilaahi ke huzoor* mein saahib e alam ka paighaam^ hai”
*in presence of a superior authority
^message
(courtly, formal language)
Waliahad e sultanat = Heir to the throne
ba awaaz e buland = In a loud voice
Khud mukhtaari* ka eilaan^ karta hun
*autonomy ^announcement
Mukhtaar = ndependent,authorised,empowered
“Mera Mutaalba* hai ke Zille Ilaahi, Anarkali ko meri begum aur Hindustan ki hone waali malika tasleem^ karein”
* asking for, demand ^accept
Taimuri nasl = Timur’s descendant ( nasl = breed)
Khuddar = one with self respect/ self respecting
Mazhab o millat ki parwaah kiye baghair
mazhab= religion
millat = community, nation, subject, faith
“Jawaani ke khumaar* mein doobi huyi iss tahreer^ ko aakhir tak padho”
*intoxication/ nasha
^document
“Nacheez* ki zubaan maazur^ hai”
*insignificant, worthless ( commonly used to describe self when talking to others)
^helpless
“Aaj hadd* e adab muqarrar^ nahi. Byaan** Ho!”
* limitations laid by etiquette
^fixed
**narrate / continue narration
mukarrar = repeatedly, again and again ( popularly used in mushairas – encore) is not to be confused with
Muqarrar = fixed
baghawat* & Baaghi^ “
*rebellion and ^rebel
Tareekh* gawah hai
Qatl**
suhag ki aabroo^ par sati ho jaane waali Rajput malika
*History
**kill /murder
^reputation, chastity, dignity
In haathon se talwar kya uthegi jo Suhaag ki choodiyon ka bojh naa utha saki
(one of my fav dialogues tho no explanation needed here)
Jung ke naqqare = drums of war
Hukm^ e Aali* ho tau = *Aali is ‘High; sublime; lofty’| ^order
soormaa = brave,valiant,bold
Rihaa^ kar diya jaaye = free. release
Le jaao Rangeen fitne* ko = mischief (maker )/ seditious
Jahan panah* ke iqbal^ ka suraj hamesha chamakta rahe
*literally protector of the world but used 4 kings instead of Your/His Majesty
iqbaal = ^prosperity / good fortune
Dastoor* hai ke marne waali ki aakhri aarzoo^ puri ki jaati hai
*custom, usage,
^aspiration, desire, hankering, wish
Expand Reply Delete Favorite
Kaneez ki aarzoo Zille Ilaahi ke ikhtiyar* mein nahi hai
*authority,power,competency,will
“Hamare rahm ka daaera* itna tang^ nahin ke usmein ek kaneez ki aarzoo na samAa** sake”
*circle/boundary
^narrow
**fit
:Aakhir Ek kaneez ki aarzoo zubaan par aa hi gayi”
” Kaneez ki majboori ko uski aarzoo na samajhiye”
My favourite scene in the movie
“Main nahi chaahti k unka waada jhoota ho aur Hindustan ka hone wala badshah zindagi bhar ek adna* kaneez se sharminda rahe”
*insignificant
“Teri maut se woh Na
-aashna* ho jaaye”
*unknown,a stranger,un-acquainted,unfamiliar
“Behosh aashiq. Ke pahlu* se utha kR maut ke aghosh^ mein pahuncha de”
*side( also used 4r=direction, point of view)
^embrace, lap, bosom
“Salim tujhe marne nahi dega aur hum tujhe jeene nahin denge”
Dialogue made famous by Ajit originates from here
http://www.youtube.com/watch?v=1amexSknhD0 …
we continue from 6 min of this clipping of Mughle Azam
“Kaneez tau kab ki mar chuki hai ab Janaaze* ko rukhsat^ ki ijaazat** dijiye”
*funeral
^leave- taking
** permission
“Shahenshah ki in Behisaab baksshishon* ke badle main ek kaneez Jalauddin Mohd Akbar ko apna khoon muaaf karti hai”
MY fav scene
*gifts/kindness
Taaj poshi = coronation
Ba nafse nafees jung mein shareek honge = my esteemed self will join the war
Maa badaulat = A royal way of referring to self in third person
( literally means everything here is because of me )
naghmon se barasti hai masti
chhalke hain khushi ke paimaane*
Jab raat ho aisi matwaali tau subah ka aalam^ kya hoga!
*goblet
^condition
Anarkali, when presented with thorns by Salim: “Zahe naseeb^. Kaanton ko murjhane ka khauf* nahin.”
^My good fortune
*fear
Anarkali, when presented with thorns by Salim: “Jahe naseeb. Kaanton ko murjhane ka khauf nahin. (I am fortunate to receive thorns because thorns never wither).” While accepting the reward, Anarkali says, “Phool to murjhha jaate hain, lekin kaanTe daaman thham lete hain”
“afsaanon mein aaya hai ke mujassamon* ki naqaab-kushaayi^ teeron se bhi huaa karti thhi”.
*Statues
^Unveiling
” aap hi ki sultanat ka ek magroor* mussavvir^ jo gumnaami** ke andheron se baahar aana nahin chahta”.
*arrogant/proud
^artiste
**anonymity
Bahaar to Prince Salim – ” Kaneez ko khanjar* ki nafarmaani^ par hairat** hai “
*dagger
^disobedience
**astonishment
King Akbar to Prince Salim – ” hamaari duaa hai ke khudawand-e-akram maidan-e-jung tumhen mein jalaal-e- akbari se mehfooz* rakkhe “
Jodhabai: “Hamara Hindustan koi tumhare dil nahin hai laundi jispar hukumat kare (Our Hindustan is not your heart which a nautch girl can rule over).”
Salim: “Toh mere dil bhi aapka Hindusthan nahin hai, jo aap uspar hukumat kare (By the same token, my heart is not your Hindustan that you impose your will over it).”
ae mere mushkil kushaan* ( mushkil door karne wala-Title of H.Ali)
fariyaad hai
bekas pe karam keejiye
sarkaar-e-madinaa ( Prophet pbuh)
gardish* mein hai taqdeer
bhanwar mein hai safeena^
*revolution, circulation, misfortune,
^ship,a vessel,a boat
posheeda* nahin aap se
kuch dil ke fasaane^
*hidden/secret
^stories
chhaayi hai museebat ki ghataa
gesuonwaale*
( reference to Prophet pbuh – gesu means hair)
http://www.youtube.com/watch?v=R-dJ4CZ67ZI …
“Dhoop aur garmi se tapti huye iss registaan* mein, angaaron ke manind^ ret par yeh nange paaon chalne waala insaan Akbar e Azam hai”
*desert
^ resembling
tapti = burning
“In aankhon ki maayusi* kah rahi hai ke inhone ne aulaad^ ka muskuraata huwa chehra nahin dekha “
*sadness
^children/progeny
“Insaaf ke iss muqaddas* tarazu ki qasam, Akbar se zindagi mein ek baar jo maangogi , ataa^ kiya jaayega”
*holy, sanctified
^will be gifted
” waqt ke saath saath, naukhez* shahzaade ki shokhiyaan^ zaahir hone lagin”
*naukhez means newly bloomed but here adolescent
^mischief
Aur Akbar e Azam ko Hindustan ka mustaqbil* andheron mein doobta huwa mehsoos^ huwa”
*future
^felt
“Iske sar se maa ke pyaar ka reshmi aanchal hata kar isse lohe ka khaar* pahna do”
*thorns reference to armour ( zer e bakhtar )
parwarish = upbringing
sipah salar = commander
jaan nasheen = heir
gustaakh = audacious
“aaftaab** ki raushni duniya ke har goshe^ ko aalam* karti hai”
**sun
^corners
*here it means to illuminate
ruswaa = badnaam / defame / disgrace
AAqa = lord , master
iqraar = acceptance
Main tumhari aankhon mein apni mohabbat ka ikraar dekhna chahta hoon
“Inhe mat dekhiye Shahzaade, in mein siwaaye ek kaneez ki sehmi* huyi hasraton** ke aur kuchh nahin hai”
*suppressed
**desires
shikast = defeat
suboot = proof
faateh = conqueror
fateh = conquest
dar = darwaaza/ door
hausla = courage
hiraasat = arrest